Thartharaate hain lamhe
Waqt rookh badalta hai
Door sahilon par
Kahin din yeh dhalta hai x(2)
Katra katra sannaata
Moam sa pighalta hai
Khelne waala koi nahin
Khel phir bhi chalta hai
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wohi reh jaaye
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Aankhon par bharosa na kar
Dhoka hai har ek manzar
Milte hain jo gale khul ke
Wohi vaar karein chupkar
Aankhon par bharosa na kar
Dhokha hai har ek manzar
Milte hain jo gale khul ke
Wohi vaar karein chupkar
Shor mein hai sarghoshi
Hosh mein hai behoshi
Honth sabke sil jaayenge
Bolegi jab khaamoshi
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wohi reh jaaye ae hey..
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Kuchh halka, kuchh gehra
Raaz hai lab pe thehra
Jaal ke andar jaal hai
Chehre pe hai chehra
Kuchh halka, kuchh gehra
Raaz hai lab pe thehra
Jaal ke andar jaal hai
Chehre pe hai chehra
Hansti aankhon waale sabhi
Meethi baaton wale
Hothon se na chhuna kabhi
Yeh zehar ke pyaale
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wohi reh jaaye ae hey..
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo
Beparwah, beparwah ho jaaye jo.
0 comments:
Post a Comment